Friday, June 12, 2009

Woh......


Mann ke is dwand mein,
Kabhi sab apna sa
Kabhi sab anjaan hai...

lab hi to band hai,
kabhi sehme se kamal
kabhi muskaan hai...

Kaya ki sugandh hai,
Kabhi gajro ki mehek
Kabhi kaliyon ke baagaan hai...

Palakon ka ghamand hai,
Kabhi Diwali ki chamak
kabhi ramzan ka chand hai...

Dil hi to razamand hai,
Kabhi natkhat sa
Kabhi pyaar ka paigam hai...